Ethical Hacking Course - Hacker Types.

Hackers ko hum alag alag categories me classify kar sakte hain jaise white hat, black hat aur grey hat. Ye uss cheez pe depend karta hai ki unka hacking karne ka maksad kya hai. Ye names puraane zamaane se aaye hai jab bure logo ko kaha jaata tha black cowboy hat aur acche logo ko white cowboy hat.


#1. White hat hackers

White hat hackers ko hum Ethical Hacker bhi kehte hain. Ye kabhi kisi system ko harm pohochane ki nahi sochte, ye ek system me weekness find karte hain taaki usse baad me theek kara ja sake

Ethical hacking illegal nahi hai aur iski bohot high demand hai IT industry me. Bohot saari companies ethical hackers ko hirr karte hain penetration testing aur vulnerability analyses ke liye.


#2. Black hat hackers

Black hat hackers ko hum crackers bhi kehte hain. Ye wo log hain jo hack karte hain unauthorised access paane ke liye taaki system ko harm kar sake ya zaruri information chura sake.

Black hat hacking hamesha illegal hoti hai kyuki isse log galat iraade se karte hain jaise ki information churaana ya system ko damage karna.


#3. Grey hat hackers

Grey hat hackers ek milan hai black hat aur white hat hackers ka . Ye kisi galat iraade se toh nahi par maze ke liye hack karte hain par ye bhi bina kisi permission ke kisi system ko attack karte hain.

Inka iraada hota hai system me weakness dhundna taaki owner ko pata chale aur unhe iske liye tareef mile aur kuch reward mile. Jaise bounty hunters.


Inn 3 categories ke alaawa bhi kuch categories hain jinke bare me mai bataunga aur ye bhi iss par hi based hai ki wo kya hack karte hain aur kaise karte hain.

#1. Red hat hackers

Red hat hackers bhi ek milan hai black hat aur white hat ka. Ye log government agencies, top secret information hubs aur jo bhi cheez sensitive information se jude ho unhe hack karte hain.

#2. Blue hat hackers

Blue hat hackers wo log hote hain jo kisi organisation me work nahi karte par log unhe hire karti hai apne product ko launch karne se pehle ek bug-test karne aur usse fix karne ke liye. Microsoft bhi blue hat hackers hire karti hai.

#3. Elite hackers

Ye ek social status hai hackers ke beech jo describe karta hai sabse skilled hackers ko.

#4. Script kiddie

Ek script kiddie ek non-expert hota hai jo hacking pre-build tools ki madad se krta hai aur isse uss tool ke working ki koi knowledge nahi rehti. Isliye isse kiddie bola jaata hai.

#5. Neophyte

Inhe hum Noob ya green hat hacker bhi kehte hai aur ye poori tarah se beginner hote hain hacking me. Inhe kuch knowledge nahi rehti technology ya hacking me.

#6. Hacktivist

Hacktivist wo hote hai jo hack karte hain kisi message ko spread karne ke liye. Fir chahe wo message political ho ya freedom se related ho. Hactivists zyadatar defacement ya fir denial.of service attacks ke liye jaane jaate hain.


No comments