Kali Linux course - installation aur configuration.



Kali Linux ek ethical hacker ke liye best security package hai jisme aapko bhot saare tools mil jayenge. Ye fully open source hai aur iska official webpage hai - HTTPS://www.kali.org

Generally Kali Linux ko hum as a operating system install kar sakte hai par iss course me hum Kali Linux ko virtual box me install karna seekhenge.
Aap chahe toh Kali Linux ko ek USB ya fir CD me bhi install kar sakte hain aur inn Sab ki jaankaari aapko yaha milegi : https://www.Kali.org/downloads/

Kali Linux ko install karne ke liye ...
--> sabse pehle hum virtual box ko download aur install karenge

--> uske baad hum Kali Linux distribution ko download aur install karenge

Virtual box ko download aur install Kaise karenge...
Virtual box tab useful hota hai jab aapko kuch aisa test karna hai jiske baare me aap sure nahi hain aur agar aap ek beginner hain toh virtual box apke liye ek safe place hai unknown tools ko test karne ke liye.

Toh chaliye jaante hain ki Kaise virtual box ko download aur install karein.

Step 1: virtual box download yaha se kare : https://www.virtualbox.org/wiki/Downloads
Aur apne operating system ke hisaab se correct package choose kare iss course me mai windows ke liye install karunga jaisa ki neeche screenshot me hai


Step 2: Next par click kare


Step 3: agle page par aapko options milenge jaha apko select karna padega ki aap iss software ko kaha install karna chahte hain aap isse default rehne de aur next pe click kare.


Step 4: next par click karne ke baad aapko ek custom setup ka popup aayega yaha par aap wo features select kare Jo aap chahte hai ki install ho aur uske baad next par click kare.


Step 5: yes par click kare installation proceed karne ke liye.


Step 6: apke saamne ek ready to install pop up aayega aap install par click kare.


Step 7: finish button par click kare.


Ab virtual box open hoga aur uska interface iss screenshot jaisa hoga aur ab hum Kali Linux install karne ke liye ready hai


Kali Linux ke distribution ko download aur install Kaise karenge...

Step 1: Kali Linux ke official package ko uski official website se download karein : https://www.kali.org/downloads/


Step 2: virtual box -> New par click kare jaise screenshot me dikhaya gaya hai


Step 3: sahi wali virtual hard disk file select kare aur open par click kare


Step 4: ab aapke saamne iss screenshot jaisi screen popup hogi aap create par click kare.


Step 5: Kali os start kardijiye. Default username hai root aur default password hai toor


Dosto ab time hai Kali ko configure karne ka

Kali Linux update Kaise kare...

Kali Linux aur uske tools ko update karte rehna bhot hi zaruri hai taaki WO functional rahe. Kali ko update karne ke liye ye steps follow kare.

Step 1: application -> terminal par jaaye aur type kare “apt-get update” iske baad update shuru hojayga jaisa ki screenshot me diya hai.



Step 2: ab tools ko upgrade karne ke liye type kare “apt-get upgrade” aur ab new packaged download hojayenge.



Step 3: ab aapse poocha jayega ki aap continue karna chahte hai ya nahi. Type karein “Y” aur  “Enter”.



Step 4: operating system ko latest version par upgrade karne ke liye type kare “apt-get distupgrade”.





No comments