Ethical Hacking Course - Famous Hackers.

Iss post me hum jaanenge kuch duniya ka sabse famous hackers ke baare me aur wo kaise famous hue.



#1.  Jonathan James

Jonathan james ek american hacker the aur ye badnaam the apni jaati ke sabse pehle cybercriminal hone ke. Inhone 2008 me suicide kari thi gunshot se.

1999 me jab wo 16 saal ke the tab unhone NASA ke ek server ka password hack karke international space station ka source code chura liya tha.

#2.  Ian Murphy

Ian Murphy ko captain zap bhi kaha jaata tha. Ek samay tha jab ye school ke students se computer parts churaane ko kehte the. Ian apne aapko sabse pehle criminal hacker maante hain.

Ian ek master hacker 1986 me bane jab inke aur inki wife dono ke pass koi job nahi tha aur unhone koi business start karne ka socha.

Inka online fraud me bohot bada naam hai aur ye email forging aur firoti bhare emails bhejne ke liye jane jaate hain.

#3.  Kevin Mitnick

Kevin mitnick ek security consultant aur ek author hain jo apne clients ki companies me ghuspaith karte hain taaki unki security me weakness ke baare me pata kar sake.

Ye duniya ke sabse pehle hacker hain jo FBI ki most wanted list me 1st number pe the. Ye unites states ke sabse most wanted hacker the.

1970 se lekar 1995 jab wo arrest hue the unhone badi badi companies ko hack kara jaise ki sun microsystem, Digital equipment corporation, Motorola, netcom aur nokia.

#4.  Mark Abene

Mark abene apne upnaam phiber optick se jaane jaate hain. Ye ek security expert aur ek enterprenuer hai. 1980 - 1990 tak ye ek high profile hacker rahe hain aur ye un pehle hackers me se hain jinhone debate kare hacking ke faaydo ke oopar aur wo kasie kisi industry ko faayda de sakti hai uspar.

Ye penetration studies, on-site security assessments, secure code reviews, security policy review and generation, systems and network architecture, systems administration and network management, aur bhi bohot saari fields me expert hain. Inke clients hain American express, UBS, First usa, aur bhi bohot.

#5.  Johan Helsinglus

Johan helsinglus jinhe julf ke naam se zyada acche se jaana jaata hai tab famous hue the jab unhone  1980 me sabse popular remailer penet.fi ko operate karna shuru kara tha.

Johan ki wajah se hi sabse pehla Pan-European internet service provider, Eunet International ka developement shuru hua.

Iss waqt ye ek member hain board of technologia ke jo ki ek hacker community hai amsterdam me. Ye apni cyber knowledge se aaj bohot saari communication companies ko support karrhe hain.

#6.  Linus Torvalds

Linus torvalds best hackers ki ginti me aate hain. Ye famous hue kyuki imhone banaaya Linux - hackers ka sabse favourite unix based operating system. Linux open source hai aur lagbhag 1000 se zyada logo ne isme contribute kara tha. 2006 ke waqt sirf 2% hi codes hain jo linux me torvalds ne contribute kare.

Linus hamesha se simple rahe hain aur mast maula rahe hain duniya ka sabse accha operating system banaake.

#7.  Robert Morris

Robert morris ko creator of Morris worm ke naam se bhi jaana jaata hai jo ki sabse pehla computer worm tha. Morris worm computers ko slow kardeta tha aur dheere dheere unhe kisi kaam ka nahi rehne deta tha aur iss wajah se unhe 3 saal ki saza bhi hui thi aur 400 ghante ki community service saath me $10,500 ki penalty deni padi thi.

Morris filhal MIT computerr science aur artificila intelegence laboratory me ek professor hain.

#8.  Gary McKinnon

Gary McKinnon ek system administrator aur ek hacker the. Ye famous hai duniya ke sabse bade military hack ke liye aur inhone military, air force aur NASA ke systems hack karliye the.

Inke statements me ye hamesha kehte the ki inka main motive tha UFO ke baare me jaankaari lena antigravity ke evidence aur free energy ke andhvishaas ke baare me evidence chahte the.

#9.  Kevin poulsen

Kevin poulsen jo Dark Dante ke naam se bhi jaane jaate hain famous tab hue jab unhone los angeles ke radio station KIIS-Fm ki telephone lines hack karli sirf ek competition jeetne ke liye.

Poulsen ne FBI ka dhyaan apni taraf aakarshit kara jab unhone federal computers ko hack kara. Inhe iske liye 5 saal ki saza bhi hui aur saza khatam hone ke baad inhone ek journalist ka kaam karna chalu kardiya.

No comments