Ethical Hacking Course - Overview.


Hacking ek act hai jisme hum kisi computer system ya network me koi possible entry point dhundte hain aur uske zariye uss network me enter karte hain. Hacking usually kisi computer system ya network me unauthorised acces karne ke liye kari jaati hain taaki system ko harm kar sake ya fir sensitive information ko chura sake.

Hacking tab tak legal hai jab tak hum usse kisi system ki weakness find karne ke liye karrahe hain aur iss type ki hacking ko hum ethical hacking kehte hain.

Ek computer expert hacking karta hai usse hum hacker kehte hain. Hacker wo hai jo knowledge ka bhuka hai, Jo samajhna chahta hai ki system kaise operate karta hai, kaise design hua hai wo system, aur wo kaise iss system se khel sakta hai (matlab kaise usse hack kar sakta hai)


HACKING KE TYPES
Hacking ko hum alag alag categories me baat sakte hain iss basis pe ki kya hack kara ja raha hai. Ye raha ek example

1. Website hacking : Ek website hack karna matlab uske web server par unauthorised acces karna jo ki database se associated hota hai.

2. Network hacking : Network ko hack karna matlab uske baare me information nikaalna kuch tools ki madad se jaise Telnet, NS lookup, Ping, Tracert, Netstat e.t.c. iss intension se ki wo uss network ko harm karenge.

3. Email hacking : Isme hum kisi ke email ka unauthorised acces lete hain aur usse bina owner ki permission se use karte hain.

4. Ethical hacking : Isme hum kisi computer system ya network me weakness find karte hain taki usse fix kara ja sake.

5. Password hacking : Isme hum secret password retrive karte hain jo system ne save kara hai ya transmit karrha hai kisi server pe.

6. Computer hacking : Isme hum computer id aur password steal karte hain unauthorised acces ke liye.

HACKING KE FAAYDE
Hacking faaydemand hai inn sab cheezo me : 

1. Ghumi huyi (lost) information ko recover karna specially agar wo kisi cheez ka password ho toh.

2. Penetration testing perform karne ke liye taaki network aur computer ki strength badha sake.

3. Security breaches ko fix karne ke liye security measures lagaane me.

4. Computer system ko unauthorised access se bachane ke liye.

HACKING KE NUKSAAN
Hacking nuksaan jar sakti hai agar koi uska galat istemal kare. Nuksaan ye sab ho sakte hain : 

1. Bhot bada security breach.

2. Private information pe unauthorised acces ho sakta hai.

3. Privacy ka violation.

4. System operations ko hamper karna

5. Denial of service attacks.

6. System par malicious attack ho sakta hai.

HACKING KARNE KA MAKSAD (PURPOSE)
Hacking karne ke bhot saare ache aur bure maksad ho sakte hain. Ye rahi ek list ki log hacking kyu karte hain.

1. Maze ke liye

2. Show off karne ke liye

3. Zaruri information ko churaane ke liye

4. System ko damage karne ke liye

5. Privacy ko hamper karne ke liye

6. Paise ki firoti (extortion) ke liye

7. System ki security test karne ke liye

8. Policy break karne ke liye

No comments